Ghafoor Sager's Love SMS
Ajab Si Mushkil Main Aj Ae Kar Phasa Hon
Ab Karo Tu Kia Karon, Saamnay Manzil Hay Ur Peechay Us Ki Awaaz Hay Rukta Hon Tu Bicher Jata Hon, Manzil Ki Bhi Hasrat Hay Ur Us Say Mohbbat Bhi Ay Dil Ye Bata Kay Ic Waqet Kidher Jana Chaiye, Muddat Ka Safer Bhi Hay Ur Barson Ki Shanasai Bhi Rukta Hon Tu Bikher Jata Hon Chalta Hon Tu Jata Hon, Lagi Piyas Ghzab Ki Hay "Sager" Pani Main Bhi Zaehir Mila hay Peeta Hon Tu Bhi Marta Hon Nahin Peeta Tu Bhi Marta Hon ...!
Abhi sooraj nahi dooba zara si sham honay do Main khud hi lot jaonga mujhay nakaam honay do Mujhy badnam kernay kay bahanay dhoondtay ho kyun Main khud ho jaon ga badnam pehlay naam honay do Abhi mujhko nahi kerna he aitraf-e-shikast Main sab tasleem kar longa ye charcha aam honay do Meri hasti nahi anmol phir bhi bik nahi sakti Wafayen bech lena pr zara neelam honay do Nayee aghaz main hi kion hosla tor bethay ho Jeet jaogay tum zara anjam honay do ...!
Pani ankh main bhar kay laya ja sakta hay ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hay, aik mohabat aur wo bhi nakam mobhat lekin is say kam chaleya ja sakta hay, Dil par pani piny ati hain umeeden is chashmy main zeher milaya ja sakta hay, mujh benam say pujhty hain Farhad-o-Majnoo ishq main kitna naam kamaya ja sakta hay, phatta puran khwab hay mera phir bhi "Sager" is main apna aap chupaya ja sakta hay ...!
Thori si ibadat bohut sa sila deti hay ghulab ki tarha cheha khila deti hay ALLAH ki yaad ko dil say jane na dena Kabhi kabhi choti si DUA arsh hila deiti haay...!
Khawb haseen hon to tabeerain rulaa deti hain, Hum ghareebon ko hamari taqdeerain rula deti hain, Paron ko apne dekh kar azaad dil ko sakoon hota hay, Magar paaon main parri huyi zanjeerain rulaa deti hain, Raat ko teri yaad chain say nahi soney deti, Din charhey to kamrey main lagi tasveerain rulaa deti hain, Yun to main khaasa khush mizaaj hoon Sager magar, Kabhi kabhi teri ata kardaa gham ki jageerain rula deti hain ...!
Na jane kyun gale se lipat ke rone lage wo jab ham barso baad mile, Jaate hue jinhone kaha tha mujhsay Kay tum jaise laakhon milenge ...!
Khwaab Aankhon Main Chubho Ker Dekhoon Kaash Main Bhi Kabhi So Ker Dekhoon, Shayed Ubhre Teri Tasveer Kaheen Main Teri Yaad Main Ro Ker Dekhoon ...!
Aansuoon ki Tarah Nazron say Giraya Us Nay Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Main Milaya Us Nay, Elzaam Mujh Pay Lagaaya Magar Bewafa khud Tha Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Nay, Usko Mazaa Aata Hay Mujhko Sataane Main Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Nay, Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Nay, Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “Sagerâ€, Pher Bhi Dunya Main Mujhe TANHA Baanaya Us Nay ...! *." Sager ".*
Taskeen na ho jis say wo raaz badal dalo Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo, Tum nay bhi suni ho gi bari aam kahawat hay Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo, Pur-soz dilon ko jo muskan nay day paye Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo, Dushman kay iradon ko hy zahir agar karna Tum khel wohi khelo andaz badal dalo, Ay dost karo himat kuch door sawera hay Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo…! *." Sager ".*
Habs-e-Duniya Say Guzar Jaatay Hain Aisa Kartay Hain Kay Mar Jaatay Hain, Kaisay Hotay Hain Bicharnay Waalay ? Hum Ye Sochain Bhee Tou Dar Jaatay Hain, Dil Jo Tootay Tou Sar-e-Mehfil Bhi Baal Be-Wajaa Bikhar Jaatay Hain, Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhain Charhtay Darya Tou Utar Jaatay Hain, Dhoop Ka Roop Rachaanay Waalay Shaam Ko Aur Nikhar Jaatay Hain, Tum Kahaan Jao Ge Socho "Sager" ? Log Thak Haar Kay Ghar Jaatay Hain…! *." Sager ".*
Business Listings i want to sale my VItzz Car i want to sale my VItzz Car Best urologist treatment in Lahore Best urologist treatment in Lahore at Zhong-Ba Hospital the best urologist Chinese Hospital in Lahore.We have most experienced and qualified urology doctors. Polio Vaccination Center for International Travellers - Jinnah Hospital Lahore This centre is dedicated for international travellers from Pakistan to other countries of world. Punjab Government has setup the vaccination centers in many Government hospitals of Punjab. Travellers are advised to visit this center at least 2 to 4 w... Jamia Ashrafia Lahore Jamia Ashrafia, Lahore a premier seat of Islamic learning was founded by an extremely pious dignitary Maulana Mufti Muhammad Hassan (RA) in September 1947, soon zafter the creation of Pakistan; and since then it has been serving the cause of Islamic ... Lady Doctor Lady Doctors(OPD) and Female gynecologist is required for Dr. Syed Abdur Razaq Jilani Clinic and Pharmacy. Past work experience in OBS-GYNE and PEDS would be preferred. Candidates should have an MBBS with a valid PMDC license and at least 3-5 years... |
|