SMS Mania - Love SMS
Love is strong yet delicate.
It can be broken. To truly love is to understand this. To be in love is to respect this.
Pani ankh main bhar kay laya ja sakta hay ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hay, aik mohabat aur wo bhi nakam mobhat lekin is say kam chaleya ja sakta hay, Dil par pani piny ati hain umeeden is chashmy main zeher milaya ja sakta hay, mujh benam say pujhty hain Farhad-o-Majnoo ishq main kitna naam kamaya ja sakta hay, phatta puran khwab hay mera phir bhi "Sager" is main apna aap chupaya ja sakta hay ...!
Thori si ibadat bohut sa sila deti hay ghulab ki tarha cheha khila deti hay ALLAH ki yaad ko dil say jane na dena Kabhi kabhi choti si DUA arsh hila deiti haay...!
Khawb haseen hon to tabeerain rulaa deti hain, Hum ghareebon ko hamari taqdeerain rula deti hain, Paron ko apne dekh kar azaad dil ko sakoon hota hay, Magar paaon main parri huyi zanjeerain rulaa deti hain, Raat ko teri yaad chain say nahi soney deti, Din charhey to kamrey main lagi tasveerain rulaa deti hain, Yun to main khaasa khush mizaaj hoon Sager magar, Kabhi kabhi teri ata kardaa gham ki jageerain rula deti hain ...!
Na jane kyun gale se lipat ke rone lage wo jab ham barso baad mile, Jaate hue jinhone kaha tha mujhsay Kay tum jaise laakhon milenge ...!
Khwaab Aankhon Main Chubho Ker Dekhoon Kaash Main Bhi Kabhi So Ker Dekhoon, Shayed Ubhre Teri Tasveer Kaheen Main Teri Yaad Main Ro Ker Dekhoon ...!
Aansuoon ki Tarah Nazron say Giraya Us Nay Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Main Milaya Us Nay, Elzaam Mujh Pay Lagaaya Magar Bewafa khud Tha Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Nay, Usko Mazaa Aata Hay Mujhko Sataane Main Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Nay, Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Nay, Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “Sagerâ€, Pher Bhi Dunya Main Mujhe TANHA Baanaya Us Nay ...! *." Sager ".*
Taskeen na ho jis say wo raaz badal dalo Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo, Tum nay bhi suni ho gi bari aam kahawat hay Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo, Pur-soz dilon ko jo muskan nay day paye Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo, Dushman kay iradon ko hy zahir agar karna Tum khel wohi khelo andaz badal dalo, Ay dost karo himat kuch door sawera hay Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo…! *." Sager ".*
Habs-e-Duniya Say Guzar Jaatay Hain Aisa Kartay Hain Kay Mar Jaatay Hain, Kaisay Hotay Hain Bicharnay Waalay ? Hum Ye Sochain Bhee Tou Dar Jaatay Hain, Dil Jo Tootay Tou Sar-e-Mehfil Bhi Baal Be-Wajaa Bikhar Jaatay Hain, Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhain Charhtay Darya Tou Utar Jaatay Hain, Dhoop Ka Roop Rachaanay Waalay Shaam Ko Aur Nikhar Jaatay Hain, Tum Kahaan Jao Ge Socho "Sager" ? Log Thak Haar Kay Ghar Jaatay Hain…! *." Sager ".*
Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo Aankhen Sach Bolti Hain Piyar Chupaya Na Karo, Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo, Yeh Zaroori Nahi Har Shaks Maseeha Hi Ho Piyar Kay Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo, Shaher-e-Ehsaas Mein Pathraao Boht Hain “Sagerâ€, Dil Ko Sheeshe Kay Jharokon Main Sajaaya Na Karo...! *." Sager ".*
Business Listings New Compact Diode-Pumped Nd Yag Laser Marking Machine Zee 6254 New Compact Diode-Pumped Nd Yag Laser Marking Machine Zee 6254 We use foreign advanced laser technologies and new designs to produce our DPSS laser marking systems. This is the Smallest Diode Laser marking machine ever made. Their performance is ... Amazon Shopping In Pakistan, Amazonshop.pk Online shopping is becoming the most popular trend in Pakistan. Online shopping has changed the way of shopping Imported and branded items in Pakistan. Now the people can easy purchase the imported items by visiting the amazonshop.pk. This online e-s... send gifts to pakistan send gifts to pakistan like birthday gifts,valentine gifts,eid gifts and many more using versagift.com Passport Office Abbot Road Lahore This Passport office is located on Abbott Road behind Police Station Qila Gujar Singh, It deals with new and renew of Machine Readable Passports both Regular and Urgent bases. Office opens at 8:30 AM. doortodoor.pk online shopping Pakistan doortodoor.pk an online shopping store, currently working in Pakistan over a limited range of high quality products. The store provides a large variety of gadgets, accessories and other products comprising of power banks, chargers, Bluetooth, cases a... |
|