SMS Mania
Pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen tum to shaayar ho %u2018Qateel%u2019 aur vo ik aam saa shaKhs us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen
Kaha tha tum say%u2026mera intezaar na karna dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi ab ki bar tum koi bhi sawal na karna Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna
Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal, is chaman mein ab apna guzara nahin. baat hoti gulon tak to sehlete hum, ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin. jab gulistan ko khoon ki zarorat padi sab se pehle hamari hee gardan katee, phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman ye hamara chaman hai tumhara nahin. aaj aaye ho aur kal chale jaoge yeh muhabbat ko meri gawara nahin, umr bhar kaa sahara bano to bano chaar din kaa sahara sahara nahin
Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati, Yun ghut-ghut k mar jana, hamain manzoor tha laikin, Kisi kam-zarf per zahir na ki majbooriyan hum nay, Hum is mehmil main bus ek baar sach bolay thay, Zabaan per umer bhar mehsoos ki chingariyon ham nay, Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooriyan humne, Chiraghoon ko jalanay main jala %u2018 li ungliyan hum nay%u2026
Kab kaun kisi ka hota hai Sub jhootey rishtey naate hain%u2026 Sub dil rakhney ki batein hain Sub asal roop chhupate hain%u2026 Ikhlaq se khali log yahan Lafzon ke teer chalate hain%u2026 I baar nigahon mein aakar Phir saari umar rulate hain%u2026 Who jis NE diye hain ashk humein AB us ko bhool hi jaate hain%u2026
Saath chalne main jo maza hota Woh humain bhi kabhi mila hota Yeh hi hasrat rahi hamari faqat Saath apne koi chala hota Hum bhatakte rahe the raahon mein koi rasta pata chala hota Thaam leta humain bhi barh ke koi Haath hum ko koi mila hota Hum ulajhte nahi zamane se Ek jo Humsafar mera hota Hum na thakte safar mein gar Saath apne koi chala hota
Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne Apney askhon ko palkon pe sitara karkey Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka Aur kuch roz tere saath guzara karkey Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, Khud bula ker phir sataya hai kisi ne, Jab tak jali hai shama jalta raha parwana, Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne Armaan mere raiza raiza hogaye hain, Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne, Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga, Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne, Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko, Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne, Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha Us ko bhi tarpaya hai kisi ne,
Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay, Dard-o-gham ko her kisi k samnay khola nahin kertay, Mohabbat to mohabbat hai, Bari anmol hoti hai, Mohabbat ko tarazu main kabhi tola nahin kertay, Mere khamosh rehne per koi ilzam mat dena, Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay,
Tere qareb aa kay bari uljhano main hon, Main dushmanon main hon k tere doston main hon, Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago, Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon, Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar, Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon, Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker, Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon.
Business Listings MacDonald's Main Boulevard Gulberg Lahore McDonald’s Pakistan is part of the Lakson Group of Companies, a leading business house in Pakistan. McDonald’s first restaurant opened its door to the people of Pakistan in September 1998 in Lahore. This launch was met with unprecedented enthus... UMART departmental store PCSIR Phase 2, Lahore UMART departmental store is located in PCSIR house society phase 2. We provide all kind of house hold goods to our valued customers Free Home deleviry with Society Area Hdmi Flat Right Cable 1.5m 1.4v HDMI Flat Right Cable Features Absolute Compatibility With The 1.4 HDMI Standard Which Supports Up To 1080p Resolution That Coming With 3D Image Of Course, No Matter If You Are Using This Cable For Your HDTV, Video Game, Home Theater Or Even Projecto... NEW iPod Touch 3G 8GB. Excellent Condition (Check Picture) 9.5/10 Condition Screen Protector is still intact Origina Accessories include: -Charger -Charging Cable -Headphones Contact Person: yousaf jarral Arbaz Khan 2D car service Arbaz 2D car service is saloon car service to travel from Quetta to Islamabad, Lahore, Karachi, Faisalabad, LakiMarwat. Quetta - Lahore traveling time is 17 hours Quetta - Islamabad traveling time is 16 hours Route for Lahore is Zhob - DIKhan - Cha... |
|