SMS Mania
Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai Mery chahat ka takaza hai mere sath raho ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon tum mere pas sey utho tu bura lagta hai Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai
Safar tanha nahin karte Suno aesa nahin karte Chalo tum raz ho apna Tumhain afsha nahin karte Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte Suno yadain sataingi magar roya nahin karte Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte
Dost dushman nazar nahin atay Ab to pather bhi ghar nahin atay Sub ko roona mera mazaq lagay Ashq aankhon main bhar nahin aatay Baap say pocho kia guzarti hai Baitiyon k jo bur nahin aatay Mujh say pocha yeh raat wehshat nay aaj kal aap ghar nahin aatay, Dosti ho gaye sitaron say, Khuwab ab raat bhar nahin aatay
Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila
Un ka kiyaa dil main asay sama gaya.. Sehra main goya jasay hoo selaab aagya.. Ankhoon na meri ansoo say ashna thii.. Askhoo ka aaj tu hoon darya bhaa gaya%u2026 Main us ko bewafa kahoon mumqin nahi dost.. Her jand zakham dil pay wo meray laga gaya.. Jinay ki baat or hay marnay ki baat or.. Duniyaa say jo gaya wo akela gaya%u2026 %u201Csaqi%u201D is jahan main rishtay aziz hain%u2026 Acha wohe raha jo in ko nibha gaya%u2026
Kahan dil chor aye ho, bohut chup chap se rehtay ho, Na bante ho na sanwarte ho na koi bat karta ho Bhari mehfil main bhi aksar hamesha khoay rehtay ho Udasi aankho main le kay her ek chehre ko takte ho Koi jab yaad aata hai to Thundi aah bharte ho To khul kar kion nahin kehtay Kisi se pyar kertay ho
Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum, Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum, Na koi rishta hay tum se na koi talluk, phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum, Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se, Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum, Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay, Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum. Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki, Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum.
Mukaddar k sitaron per, Zamanay k esharon per, udasi k kinaron per, kabhe veran shehraon per, kabhe sunsan rahon per, kabhi hairon ankhon main, kabhi bayjan lamhon main, tumhari yad chupkay say, koi sargoshi kerti hay, yeh palkain bheeg jati hain, do ansu tot girtay hain, main palkon ko jhukata hon, bazahir muskurata hon, faqat itna he kah pata hon, mujhey kitna sataty ho, MUJHEY TUM YAD ATAY HO, MUJHEY TUM YAAD AATAY HO..
Tum roth jao mujhse, Aisa kabhi na kerna, Main ik nazar ko tarsoon, Aisa kabhi na kerna, Main poch poch haron, so so sawal kar k, Tum kuch jawab na do, Aisa kabhi na kerna, Main kisi roz tum ko sada dun, Aur tum na aao, aisa kabhi na karna, Tum chaley jao jab bhi to dekhon tumhara rasta, Tum loat k na aao, Aisa kabhi na karna%u2026.!!
Kaisay kahon k apna bana lo mujhey, Bahoun main apni sama lo mujhey, Bin tumharay ek pal bhi kat-ta nahin, Tum aa ker mujh se chura lo mujhey, Zindagi to wo hai sang tumharay jo guzray, Duniya k ghamoun se ab chura lo mujhey, Mere sab se gehri Khuwahish ho puri, Tum agar pas apnay bula lo mujhey, Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai, Tumhara hon main tu phir sanbhalo mujhey, Najanay phir kaisay guzray gi Zindagani, Agar apnay dil se kabhi tum nikalo mujhey.
Business Listings Students Academy Quetta students academy Quetta is made for progress of students improving their science subjects from 9th class till graduate in the ownership of Sabir khan kakar sab with the help of 6 and 7 best teachers , I can few name like (AZHER SAB, PROFESSOR MOHSIN ... UMART departmental store PCSIR Phase 2, Lahore UMART departmental store is located in PCSIR house society phase 2. We provide all kind of house hold goods to our valued customers Free Home deleviry with Society Area Indus Group of Colleges It is our firm belief that the youth form the backbone of a nation. They are the building blocks that shape the nation. And undoubtedly the most important ingredient for the intellectual grooming of the youth is Education. Education does not mean re... Cadet College Jhang Cadet College Jhang was established on 10th September 2007. Our institution is structured on the pattern of a Military Cadet College to achieve excellence in all areas of Secondary and College level education. Our objective is to provide quality ed... Viftech Solutions (Pvt.) Ltd (Software House) Viftech Solutions (Pvt.) Ltd., a subsidiary of N.S. Industries, is a leading Information Technology (IT) solution provider. Our area of expertise ranges from enterprise solutions to individual training programs. We are IBM Advanced Business Partners,... |
|